aa andalib mil ke karen aah-o-zariyan
tu hae gul pukar main chillaun hae dil
in one voice, o nightingale, the heavens let us rent
you cry out for the flowers and, I for mine heart lament
Rind Lakhnavi
aankh se qatl kare lab se jalae murde
shoabada-baz ka adna sa karishma dekho
Rind Lakhnavi
aadmi pahchana jata hai qayafa dekh kar
KHat ka mazmun bhanp lete hain lifafa dekh ka
Rind Lakhnavi
aalam-pasand ho gai jo baat tum ne ki
jo chaal tum chale wo zamane mein chal gai
Rind Lakhnavi
agari ka hai guman shak hai malagiri ka
rang laya hai dupaTTa tera maila ho ka
Rind Lakhnavi
ai junun tu hi chhuDae to chhuTun is qaid se
tauq-e-gardan ban gai hai meri danai mujhe
Rind Lakhnavi
ai pari husn tera raunaq-e-hindustan hai
husn-e-yusuf hai faqat misr ke bazar ka rup
Rind Lakhnavi
ai shab-e-furqat na kar mujh par azab
main ne tera munh nahin kala kiya
Rind Lakhnavi
apne marne ka agar ranj mujhe hai to ye hai
kaun uThaega teri jaur o jafa mere baad
of death the only regret I profess
is who will you then torture and oppress
Rind Lakhnavi