phir wahi kunj-e-qafas hai wahi sayyaad ka ghar
aur do roz hawa bagh mein kha le bulbul
Rind Lakhnavi
muzhda-baad ai baada-KHwaro daur-e-waiz ho chuka
madrase khode gae tamir mai-KHana hua
Rind Lakhnavi
maza paDa hai qanaat ka ahd-e-tifli se
main ser ho ke na pita tha shir-e-madar ko
Rind Lakhnavi
maut aa jae qaid mein sayyaad
aarzu ho agar rihai ki
Rind Lakhnavi
mai-kash hun wo ki puchhta hun uTh ke hashr mein
kyun ji sharab ki hain dukanen yahan kahin
Rind Lakhnavi
mai pila aisi ki saqi na rahe hosh mujhe
ek saghar se do aalam hon faramosh mujhe
Rind Lakhnavi
laila majnun ka raTti hai nam
diwani hui hai bak rahi hai
Rind Lakhnavi
laegi gardish mein tujh ko bhi meri aawargi
ku-ba-ku main hun to tu bhi dar-ba-dar ho jaega
Rind Lakhnavi
kya sun chuke hain aamad-e-fasl-e-bahaar hath
jate hain su-e-jeb jo be-iKHtiyar hath
Rind Lakhnavi

