hur par aankh na Dale kabhi shaida tera
sab se begana hai ai dost shanasa tera
Rind Lakhnavi
imsal fasl-e-gul mein wo phir chaak ho gae
agle baras ke the jo gareban siye hue
Rind Lakhnavi
ishq kuchh aap pe mauquf nahin KHush rahiye
ek se ek zamane mein trahdar bahut
Rind Lakhnavi
kabe ko jata kis liye hindostan se main
kis but mein shahr-e-hind ke shan-e-KHuda na thi
Rind Lakhnavi
kafir hun na phunkun jo tere kabe mein ai shaiKH
naqus baghal mein hai musalla na samajhna
Rind Lakhnavi
karim jo mujhe deta hai banT khata hun
mere tariq mein tanha-KHori halal nahin
Rind Lakhnavi
KHak chhanwati hai diwanon se apne muddaton
wo pari jab tak na kar le dar-ba-dar milti nahin
Rind Lakhnavi
khuli hai kunj-e-qafas mein meri zaban sayyaad
main majra-e-chaman kya karun bayan sayyaad
Rind Lakhnavi
kisi ka koi mar jae hamare ghar mein matam hai
gharaz barah mahine tis din hum ko moharram hai
Rind Lakhnavi