arahana dekh kar aashiq mein jaan-e-taza aati hai
sarapa ruh ka aalam hai tere jism-e-uryan mein
Rind Lakhnavi
as ab aap tashrif le jaiye
jo guzregi mujh par guzar jaegi
Rind Lakhnavi
ut karen aarzu KHudai ki
shan hai teri kibriyai ki
Rind Lakhnavi
chandni raaton mein chillata phira
chand si jis ne wo surat dekh li
Rind Lakhnavi
did-e-laila ke liye dida-e-majnun hai zarur
meri aankhon se koi dekhe tamasha tera
Rind Lakhnavi
aa andalib mil ke karen aah-o-zariyan
tu hae gul pukar main chillaun hae dil
in one voice, o nightingale, the heavens let us rent
you cry out for the flowers and, I for mine heart lament
Rind Lakhnavi
hum jo kahte hain sarasar hai ghalat
sab baja aap jo farmaiyega
Rind Lakhnavi
hijr ki shab hath mein le kar charagh-e-mahtab
DhunDhta phirta hun gardun par sahar milti nahin
Rind Lakhnavi
hon wo kafir ki musalmanon ne akasr mujh ko
phunkte kabe mein naqus kalisa dekha
Rind Lakhnavi