indan-e-ishq chhuT gae mazhab ki qaid se
ghanTa raha gale mein na zunnar rah gaya
Rind Lakhnavi
utba-e-kufr hai kis baat mein kam iman se
shaukat-e-kaba to hai shan-e-kalisa dekho
Rind Lakhnavi
shauq-e-nazzara-e-didar mein tere hamdam
jaan aankhon mein meri jaan raha karti hai
Rind Lakhnavi
tabiat ko hoga qalaq chand roz
Thaharte Thaharte Thahar jaegi
Rind Lakhnavi
tha muqaddam ishq-e-but islam par tifli mein bhi
ya sanam kah kar paDha maktab mein bismillah ko
Rind Lakhnavi
TuTe but masjid bani mismar but-KHana hua
jab to ek surat bhi thi ab saf virana hua
Rind Lakhnavi
udas dekh ke mujh ko chaman dikhata hai
kai baras mein hua hai mizaj-dan sayyaad
Rind Lakhnavi
wade pe tum na aae to kuchh hum na mar gae
kahne ko baat rah gai aur din guzar gae
Rind Lakhnavi
zulfon ki tarah umr basar ho gai apni
hum KHana-ba-doshon ko kahin ghar nahin milta
Rind Lakhnavi