dasht ki pyas kisi taur bujhai jati
koi taswir hi pani ki dikhai jati
Ramzi Asim
ishq tha aur aqidat se mila karte the
pahle hum log mohabbat se mila karte the
Ramzi Asim
khinch lai hai tere dasht ki wahshat warna
kitne dariya hi meri pyas bujhane aate
Ramzi Asim
meri jagah pe koi aur ho to chiKH uTThe
main apne aap se itne sawal karta hun
Ramzi Asim
tamam shahr giraftar hai aziyyat mein
kise kahun mere ahbab ki KHabar rakkhe
Ramzi Asim
tumhaare sath kai ranj banTne hain hamein
so ek din ke liye zindagi se fursat lo
Ramzi Asim
ya unhen aati nahin bazm-e-suKHan-arai
ya hamein bazm ke aadab nahin aate hain
Ramzi Asim
yani koi kami nahin mujh mein
yani mujh mein kami usi ki hai
Ramzi Asim