اردو हिंदी
Mujh mein KHushbu basi usi ki hai | Shaahi Shayari
mujh mein KHushbu basi usi ki hai

Ghazal

Mujh mein KHushbu basi usi ki hai

Ramzi Asim

;

mujh mein KHushbu basi usi ki hai
jaise ye zindagi usi ki hai

wo kahin aas-pas hai maujud
hu-ba-hu ye hansi usi ki hai

KHud main apna dukha raha hun dil
is mein lekin KHushi usi ki hai

yani koi kami nahin mujh mein
yani mujh mein kami usi ki hai

kya mere KHwab bhi nahin mere
kya meri nind bhi usi ki hai