ab hai dua ye apni har sham har sahar ko
ya wo badan se lipTe ya jaan tan se nikle
Rajab Ali Beg Suroor
dam-e-takfin bhi gar yar aawe
to niklen hath bahar ye kafan se
Rajab Ali Beg Suroor
kya yahi thi shart kuchh insaf ki ai tund-KHu
jo bhala ho aap se us se burai kijiye
Rajab Ali Beg Suroor
lazim hai soz-e-ishq ka shoala ayan na ho
jal bujhiye is tarah se ki mutlaq dhuan na ho
Rajab Ali Beg Suroor
na pahuncha gosh tak ek tere haihat
hazaron nala nikla is dahan se
Rajab Ali Beg Suroor
nadan kah rahe hain jise aaftab-e-hashr
zarra hai us ke ru-e-daraKHshan ke samne
Rajab Ali Beg Suroor