is tarah aah kal hum us anjuman se nikle
fasl-e-bahaar mein jun bulbul chaman se nikle
aati lapaT hai jaisi us zulf-e-ambarin se
kya tab hai jo wo bu mushk-e-KHutan se nikle
tum ko na ek par bhi raham aah shab ko aaya
kya kya hi aah o nale apne dahan se nikle
ab hai dua ye apni har sham har sahar ko
ya wo badan se lipTe ya jaan tan se nikle
to jaaniyo muqarrar us ko 'surur' aashiq
kuchh dard ki si haalat jis ke suKHan se nikle
Ghazal
Is tarah aah kal hum us anjuman se nikle
Rajab Ali Beg Suroor