quran kitab hai ruKH-e-jaanan ke samne
mushaf uTha lun sahab-e-quran ke samne
jannat hai gard kucha-e-jaanan ke samne
dozaKH hai sard sina-e-sozan ke samne
sakta abhi ho ruh-e-sikandar ko sharm se
aaina aae gar tere hairan ke samne
bahr-e-ummid gar use phailaun su-e-yar
daman-e-dasht tang ho daman ke samne
dast-e-junun se wo bhi na wahshat mein bach saka
parda jo kuchh raha tha gareban ke samne
mashshata ho aziz-e-zuleKHa agar wo lae
is mehr-e-misr ko mah-e-kanan ke samne
nadan kah rahe hain jise aaftab-e-hashr
zarra hai us ke ru-e-daraKHshan ke samne
dam band us latoDe ki jurat ne kar diya
karta hai rez bulbul-e-bustan ke samne
diwar surKH KHun se dekhi pata mila
qasid Thahar gaya dar-e-jaanan ke samne
kahte hain roz-e-wasl jise past-hausla
be-qadr hai meri shab-e-hijran ke samne
taqrir dil jalati hai sunne se ai 'surur'
aata hai kaun mujh sharar-afshan ke samne
Ghazal
Quran kitab hai ruKH-e-jaanan ke samne
Rajab Ali Beg Suroor