aise khila wo phul sa chehra phaili sare ghar KHushbu
KHat ko chhupa kar paDhne wali raaz chhupana bhul gai
Khawar Ahmad
hujum-e-sang mein kya ho suKHan-taraaz koi
wo ham-suKHan tha to kya kya na KHush-kalam the hum
Khawar Ahmad
mere lahu se jis ke barg-o-bar mein bahaar hai
wahi shajar mere liye salib kaise ho gaya
Khawar Ahmad
tu chala gaya hai to shahr phir wahi dasht-e-gham hai mere liye
wahi main hun aur meri zindagi mere aansuon mein bhari hui
Khawar Ahmad
us ke andaz se jhalakta tha koi kirdar dastanon ka
us ki aawaz se bikharti thi koi KHushbu kisi kahani ki
Khawar Ahmad
us ke baad to jo karna tha aap janab ne karna tha
us ki to mearaj yahi thi aap janab tak aaya wo
Khawar Ahmad