اردو हिंदी
Phul pe aa ke baiThi to KHud par utarna bhul gai | Shaahi Shayari
phul pe aa ke baiThi to KHud par utarna bhul gai

Ghazal

Phul pe aa ke baiThi to KHud par utarna bhul gai

Khawar Ahmad

;

phul pe aa ke baiThi to KHud par utarna bhul gai
aisi mast hui wo titli par phailana bhul gai

aise khila wo phul sa chehra phaili sare ghar KHushbu
KHat ko chhupa kar paDhne wali raaz chhupana bhul gai

kaliyon ne har bhanwre, titli se puchha hai us ka nam
baad-e-saba jis phul ke ghar se lauT ke aana bhul gai

apne purane KHat lene wo aai thi mere kamre mein
mez pe do taswiren dekhin KHat le jaana bhul gai

barson baad mile to aisi pyas bhari thi aankhon mein
bhul gaya main baat banana wo sharmana bhul gai

sajan ki yaaden bhi 'KHawar' kin lamhon aa jati hain
gori aaTa gundh rahi thi namak milana bhul gai