اردو हिंदी
Safir-e-sham subh ka naqib kaise ho gaya | Shaahi Shayari
safir-e-sham subh ka naqib kaise ho gaya

Ghazal

Safir-e-sham subh ka naqib kaise ho gaya

Khawar Ahmad

;

safir-e-sham subh ka naqib kaise ho gaya
jo shab ko shab na likh saka adib kaise ho gaya

abhi to KHwab dekhne ki umr thi meri magar
abhi se jagna mera nasib kaise ho gaya

isi ki aab-o-KHak se meri numud hai to phir
mera watan mere liye ajib kaise ho gaya

mere lahu se jis ke barg-o-bar mein bahaar hai
wahi shajar mere liye salib kaise ho gaya

meri zamin to sim-o-zar se qimti zamin hai
magar ye mera mulk yun gharib kaise ho gaya