asi hai sukhe gulabon ki baat sanson mein
koi KHayal kisi yaad ke hisar mein hai
Khalida Uzma
chale aate hain be-mausam ki barish ki tarah aansu
basa-auqat rone ka sabab kuchh bhi nahin hota
Khalida Uzma
haqiqaten to aTal hain badal nahin saktin
magar kisi ki tasalli se hausla hua hai
Khalida Uzma
idhar udhar ke sunae hazar afsane
dilon ki baat sunane ka hausla na hua
Khalida Uzma
ki mere baad qatl se tauba
aaKHiri tir tha kaman mein kya
Khalida Uzma
wo tapish hai ki jal uThe sae
dhup rakkhi thi saeban mein kya
Khalida Uzma
ye kya KHalish hai ki lau de rahi hai jazbon ko
na jaane kaun sa shoala mere sharar mein hai
Khalida Uzma
zist aur maut ka aaKHir ye fasana kya hai
umr kyun hasb-e-zarurat nahin di ja sakti
Khalida Uzma