اردو हिंदी
Sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti | Shaahi Shayari
sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti

Ghazal

Sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti

Khalida Uzma

;

sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti
har kisi ko ye sahulat nahin di ja sakti

sans lene ke liye sab ko mayassar hai hawa
is se baDh kar to riayat nahin di ja sakti

tum ko ras aae na aae meri basti ki faza
yan kisi jaan ki zamanat nahin di ja sakti

ek muddat ke shab o roz lahu hote hain
tasht mein rakh ke qayaadat nahin di ja sakti

zist aur maut ka aaKHir ye fasana kya hai
umr kyun hasb-e-zarurat nahin di ja sakti

in darichon se koi mauja-e-KHush-kun aae
rahat-e-jaan ye ijazat nahin di ja sakti

soz-e-dil tohfa-e-qudrat hai wagarna 'uzma'
barf ko narm hararat nahin di ja sakti