aah to ab bhi dil se uThti hai
lekin us mein asar nahin hota
Karamat Bukhari
ek nazar mein us ne har ek dil ko jit liya
ek nazar mein us ke ho gae jaane kitne log
Karamat Bukhari
gawahi ke liye kafi rahega
main apna KHun munh pe mal raha hun
Karamat Bukhari
har soch mein sangin fazaon ka fasana
har fikr mein shamil hua tahrir ka matam
Karamat Bukhari
main ki tere dhyan mein gum tha
duniya mujh ko DhunDh rahi thi
Karamat Bukhari
muddat se mohabbat ke safar mein hun 'karamat'
lekin abhi chahat ke nagar tak nahin pahuncha
Karamat Bukhari
parwaz mein tha amn ka masum parinda
sunte hain ki be-chaara shajar tak nahin pahuncha
Karamat Bukhari
yaad na aane ka wada kar ke
wo to pahle se siwa yaad aaya
Karamat Bukhari
ye baadal gham ke mausam ke jo chhaT jate to achchha tha
ye phailae hue manzar simaT jate to achchha tha
Karamat Bukhari