اردو हिंदी
Jis shajar par samar nahin hota | Shaahi Shayari
jis shajar par samar nahin hota

Ghazal

Jis shajar par samar nahin hota

Karamat Bukhari

;

jis shajar par samar nahin hota
us ko patthar ka Dar nahin hota

aankh mein bhi chamak nahin hoti
jab wo pesh-e-nazar nahin hota

mai-kade mein ye ek KHubi hai
naseha tera Dar nahin hota

ab to bazar bhi hain be-raunaq
koi yusuf idhar nahin hota

jo sadaf sahilon pe rah jae
us mein koi guhar nahin hota

aah to ab bhi dil se uThti hai
lekin us mein asar nahin hota

gham ke maron ka jo bhi maskan ho
ghar to hota hai par nahin hota

ahl-e-dil jo bhi kaam karte hain
us mein shaitan ka shar nahin hota