اردو हिंदी
Lab pe kisi ujDi hui jagir ka matam | Shaahi Shayari
lab pe kisi ujDi hui jagir ka matam

Ghazal

Lab pe kisi ujDi hui jagir ka matam

Karamat Bukhari

;

lab pe kisi ujDi hui jagir ka matam
har lafz mera halqa-e-zanjir ka matam

dil mein kahin bujhte hue armanon ka nauha
aankhon mein kisi yaad ki taswir ka matam

har soch mein sangin fazaon ka fasana
har fikr mein shamil hua tahrir ka matam

jab se hua malum ki ye chand hai patthar
karta hun main ab chand ki tasKHir ka matam

har harf mera karb-e-musalsal ki ghuTan mein
karta hai mere KHana-e-dil-gir ka matam