aashob-e-iztirab mein khaTka jo hai to ye
gham tera mil na jae gham-e-rozgar mein
Iqbal Suhail
husn-e-fitrat ki aabru mujh se
aab o gil mein hai rang-o-bu mujh se
Iqbal Suhail
jo tasawwur se mawara na hua
wo to banda hua KHuda na hua
Iqbal Suhail
KHakistar-e-dil mein to na tha ek sharar bhi
bekar use barbaad kiya mauj-e-saba ne
Iqbal Suhail
kuchh aisa hai fareb-e-nargis-e-mastana barson se
ki sab bhule hue hain kaba o but-KHana barson se
Iqbal Suhail
na raha koi tar daman mein
ab nahin hajat-e-rafu mujh ko
Iqbal Suhail
wo shabnam ka sukun ho ya ki parwane ki betabi
agar uDne ki dhun hogi to honge baal-o-par paida
Iqbal Suhail