asiron mein bhi ho jaen jo kuchh aashufta-sar paida
abhi diwar-e-zindan mein hua jata hai dar paida
kiye hain chaak-e-dil se bu-e-gul ne baal-o-par paida
hawas hai zindagani ki to zauq-e-marg kar paida
ye musht-e-KHak agar kar le par-o-baal-e-nazar paida
to auj-e-la-makan tak hon hazaron rahguzar paida
jamal-e-dost pinhan parda-e-shams-o-qamar paida
yahi parde to karte hain taqaza-e-nazar paida
mohabbat tere sadqe tu ne kar di wo nazar paida
jidhar aankhen uThin hota hai husn-e-jalwagar paida
shab-e-gham ab manae KHair apne jeb o daman ki
rahe dast-e-junun baqi to kar lenge sahar paida
mazaq-e-sar-bulandi ho to phir dair o haram kaise
jabin-sai ki fitrat ne kiye hain sang-e-dar paida
nisar is lan-tarani ke ye kya kam hai sharaf us ka
dil-e-KHuddar ne kar li nigah-e-KHud-nigar paida
jawano ye sadaen aa rahi hain aabshaaron se
chaTanen chur ho jaen jo ho azm-e-safar paida
wo shabnam ka sukun ho ya ki parwane ki betabi
agar uDne ki dhun hogi to honge baal-o-par paida
'suhail' ab puchhna hai inqilab-e-asmani se
hamari sham-e-gham ki bhi kabhi hogi sahar paida
Ghazal
Asiron mein bhi ho jaen jo kuchh aashufta-sar paida
Iqbal Suhail