aaj phir nind ko aankhon se bichhaDte dekha
aaj phir yaad koi choT purani aai
Iqbal Ashhar
aarzu hai suraj ko aaina dikhane ki
raushni ki sohbat mein ek din guzara hai
Iqbal Ashhar
'ashhar' bahut si pattiyan shaKHon se chhin gain
tafsir kya karen ki hawa tez ab bhi hai
Iqbal Ashhar
jo us ke honTon ki jumbish mein qaid tha 'ashhar'
wo ek lafz bana bojh mere shanon ka
Iqbal Ashhar
kisi ko kho ke pa liya kisi ko pa ke kho diya
na intiha KHushi ki hai na intiha malal ki
Iqbal Ashhar
le gain dur bahut dur hawaen jis ko
wahi baadal tha meri pyas bujhane wala
Iqbal Ashhar
muddaton baad mayassar hua man ka aanchal
muddaton baad hamein nind suhani aai
Iqbal Ashhar
na jaane kitne charaghon ko mil gai shohrat
ek aaftab ke be-waqt Dub jaane se
Iqbal Ashhar
phir tera zikr kiya baad-e-saba ne mujh se
phir mere dil ko dhaDakne ke bahane aae
Iqbal Ashhar