bhigi bhigi palkon par ye jo ek sitara hai
chahaton ke mausam ka aaKHiri shumara hai
amn ke parindon ki sarhaden nahin hotin
hum jahan Thahar jaen wo watan hamara hai
sham dastaken degi tab samajh mein aaega
zindagi talatum hai maut ek sahaara hai
kya ajab paheli hai zindagi ka mela bhi
pahle KHud ko DhunDa hai phir tujhe pukara hai
aarzu hai suraj ko aaina dikhane ki
raushni ki sohbat mein ek din guzara hai
Ghazal
Bhigi bhigi palkon par ye jo ek sitara hai
Iqbal Ashhar