kabhi kasak judai ki kabhi mahak visal ki
qadam na the zamin pe jab wo umr thi kamal ki
kai dinon se fikr ka ufuq udas udas hai
na jaane kho gai kahan dhanak tere KHayal ki
rafaqaton ke wo nishan na jaane kho gae kahan
wo KHushbuon ki rahguzar wo ratjagon ki palki
kisi ko kho ke pa liya kisi ko pa ke kho diya
na intiha KHushi ki hai na intiha malal ki
wo raushni ka KHwab tha magar wahi sarab tha
uruj mein chhupi hui thi ibtida zawal ki
Ghazal
Kabhi kasak judai ki kabhi mahak visal ki
Iqbal Ashhar