aaj na hum se puchhiye kaisa kamal ho gaya 
hijr ke KHauf mein rahe aur visal ho gaya
Hilal Fareed
aaj phir dab gain dard ki siskiyan 
aaj phir gunjta qahqaha rah gaya
Hilal Fareed
apne dukh mein rona-dhona aap hi aaya 
ghair ke dukh mein KHud ko dukhana ishq mein sikha
Hilal Fareed
ahar jo nahin tha to koi baat nahin thi 
ehsas-e-nadamt magar andar bhi nahin tha
Hilal Fareed
hum KHud bhi hue nadim jab harf-e-dua nikla 
samjhe the jise patthar wo shaKHs KHuda nikla
Hilal Fareed
is aql ki mari nagri mein kabhi pani aag nahin banta 
yahan ishq bhi log nahin karte yahan koi kamal nahin hota
Hilal Fareed
jam-e-ishq pi chuke zindagi bhi ji chuke 
ab 'hilal' ghar chalo ab to sham ho gai
Hilal Fareed
jab waqt paDa tha to jo kuchh hum ne kiya tha 
samjhe the wahi yar hamara bhi karega
Hilal Fareed
meri dastan bhi ajib hai wo qadam qadam mere sath tha 
jise raaz-e-dil na bata saka jise dagh-e-dil na dikha saka
Hilal Fareed

