ye visal o hijr ka masala to meri samajh mein na aa saka 
kabhi koi mujh ko na pa saka kabhi main kisi ko na pa saka 
kai bastiyon ko ulaT chuka koi tab is ki na la saka 
magar aandhiyon ka ye silsila tera naqsh-e-pa na miTa saka 
meri dastan bhi ajib hai wo qadam qadam mere sath tha 
jise raaz-e-dil na bata saka jise dagh-e-dil na dikha saka 
na hi bijliyan na hi barishen na hi dushmanon ki wo sazishen 
bhala kya sabab hai bata zara jo tu aaj bhi nahin aa saka 
kabhi raushni ki talab rahi kabhi hauslon ki kami rahi 
main charagh ko tere nam ke na jala saka na bujha saka 
wo jo aks rang-e-'hilal' thi wo jo aap apni misal thi 
mujhe aaj tak hai KHalish yahi tujhe wo ghazal na suna saka
        Ghazal
Ye visal o hijr ka masala to meri samajh mein na aa saka
Hilal Fareed

