aur thoDa sa bikhar jaun yahi Thani hai
zindagi main ne abhi haar kahan mani hai
Hasnain Aaqib
ahut udas hain diwaren unche mahlon ki
ye wo khanDar hain ki jin mein amir rahte hain
Hasnain Aaqib
gham uThata hun ghazal kahta hun jita rahta hun
log kahte hain ki ek din 'mir' ho jaunga main
Hasnain Aaqib
garche halka sa dhundlaka hai tasawwur bhi tera
band aankhon ko ye manzar bhi bahut lagta hai
Hasnain Aaqib
ji chahta hai tark-e-mohabbat ko bar bar
aata hai ek aisa bhi lamha visal mein
Hasnain Aaqib
kaTti hai shab visal ki palken jhapakte hi
jis ki subh na ho kabhi wo raat bhi to ho
Hasnain Aaqib
KHud ko kabhi main pa na saka
jaane kitna gahra hun
Hasnain Aaqib
lafzon ke her-pher se banti nahin ghazal
sheron mein thoDi garmi-e-jazbaat bhi to ho
Hasnain Aaqib