khoe hue palon ki koi baat bhi to ho
wo mil gaya hai us se mulaqat bhi to ho
barbaad main hua to ye bola amir-e-shahr
coffee nahin hai itna, fana zat bhi to ho
duniya ki mujh pe lakh nawazish sahi magar
mary taraqqiyon mein tera hat bhi to ho
milti hain gor yan to sar-e-rah bhi magar
panghaT ho gagari ho wo dehat bhi to ho
haare to laziman use koi panah de
hum se laDe jo us ki ye auqat bhi to ho
kaTti hai shab visal ki palken jhapakte hi
jis ki subh na ho kabhi wo raat bhi to ho
lafzon ke her-pher se banti nahin ghazal
sheron mein thoDi garmi-e-jazbaat bhi to ho

Ghazal
Khoe hue palon ki koi baat bhi to ho
Hasnain Aaqib