اردو हिंदी
Danaiyan aTak gain lafzon ke jal mein | Shaahi Shayari
danaiyan aTak gain lafzon ke jal mein

Ghazal

Danaiyan aTak gain lafzon ke jal mein

Hasnain Aaqib

;

danaiyan aTak gain lafzon ke jal mein
itne jawab gum hain mere ek sawal mein

dariya bas ek qadam kabhi sahil ki samt aa
dekhunga zor kitna hai tere ubaal mein

ki ehtiyat lakh magar haal ye hua
aana tha jin ko aa hi gae teri chaal mein

ji chahta hai tark-e-mohabbat ko bar bar
aata hai ek aisa bhi lamha visal mein

ab kya usul-e-dasht-nawardi ki baat ho
uljhe paDe hain panw shikari ke jal mein