ab to utni bhi mayassar nahin mai-KHane mein
jitni hum chhoD diya karte the paimane mein
the tavern does not even give that much wine to me
that I was wont to waste in the goblet casually
Divakar Rahi
abas ilzam mat do mushkilat-e-rah ko 'rahi'
tumhaare hi irade mein kami malum hoti hai
Divakar Rahi
agar ai naKHuda tufan se laDne ka dam-KHam hai
idhar kashti na le aana yahan pani bahut kam hai
Divakar Rahi
agar maujen Dubo detin to kuchh taskin ho jati
kinaron ne Duboya hai mujhe is baat ka gham hai
Divakar Rahi
ain-fitrat hai ki jis shaKH pe phal aaenge
inkisari se wahi shaKH lachak jaegi
Divakar Rahi
aat haq hai to phir qubul karo
ye na dekho ki kaun kahta hai
Divakar Rahi
ahut aasan hai do ghunT pi lena to ai 'rahi'
baDi mushkil se aate hain magar aadab-e-mai-KHana
Divakar Rahi
ghusse mein barhami mein ghazab mein itab mein
KHud aa gae hain wo mere KHat ke jawab mein
Divakar Rahi
is daur-e-taraqqi ke andaz nirale hain
zehnon mein andhere hain saDkon pe ujale hain
Divakar Rahi