ai mauj-e-hawadis tujhe malum nahin kya
hum ahl-e-mohabbat hain fana ho nahin sakte
Asad Bhopali
aise iqrar mein inkar ke sau pahlu hain
wo to kahiye ki labon pe na tabassum aae
Asad Bhopali
ajab andaz ke sham-o-sahar hain
koi taswir ho jaise adhuri
Asad Bhopali
ar-ha ye bhi hua anjuman-e-naz se hum
surat-e-mauj uThe misl-e-talatum aae
Asad Bhopali
dekhiye ahd-e-wafa achchha nahin
marna jina sath ka ho jaega
Asad Bhopali
farq itna hai ki tu parde mein aur main be-hijab
warna main aks-e-mukammal hun teri taswir ka
Asad Bhopali
ghuncha o gul mah o anjum sab ke sab bekar the
aap kya aae ki phir mausam suhana aa gaya
Asad Bhopali
haalat ne kisi se juda kar diya mujhe
ab zindagi se zindagi mahrum ho gai
Asad Bhopali
ishq ko jab husn se nazren milana aa gaya
KHud-ba-KHud ghabra ke qadmon mein zamana aa gaya
Asad Bhopali