ishq ko jab husn se nazren milana aa gaya
KHud-ba-KHud ghabra ke qadmon mein zamana aa gaya
jab KHayal-e-yar dil mein walehana aa gaya
lauT kar guzra hua kafir zamana aa gaya
KHushk aankhen phiki phiki si hansi nazron mein yas
koi dekhe ab mujhe aansu bahana aa gaya
ghuncha o gul mah o anjum sab ke sab bekar the
aap kya aae ki phir mausam suhana aa gaya
main bhi dekhun ab tera zauq-e-junun-e-bandagi
le jabin-e-shauq un ka aastana aa gaya
husn-e-kafir ho gaya aamada-e-tark-e-jafa
phir 'asad' meri tabahi ka zamana aa gaya
Ghazal
Ishq ko jab husn se nazren milana aa gaya
Asad Bhopali