do-jahan se mawara ho jaega
jo tere gham mein fana ho jaega
dard jab dil se juda ho jaega
saz-e-hasti be-sada ho jaega
dekhiye ahd-e-wafa achchha nahin
marna jina sath ka ho jaega
be-natija hai KHayal-e-tark-e-rah
phir kisi din samna ho jaega
ab Thahar ja yaad-e-jaanan ro to lun
farz-e-tanhai ada ho jaega
lahza lahza rakh KHayal-e-husn-e-dost
lamha lamha kaam ka ho jaega
zauq-e-azm-e-ba-amal darkar hai
aag mein bhi rasta ho jaega
apni jaanib jab nazar uTh jaegi
zarra zarra aaina ho jaega
Ghazal
Do-jahan se mawara ho jaega
Asad Bhopali