aashiyanon mein na jab lauTe parinde to 'sadid'
dur tak takti rahin shaKHon mein aankhen subh tak
Anwar Sadeed
chala main jaanib-e-manzil to ye hua malum
yaqin guman mein gum hai guman hai poshida
Anwar Sadeed
chashme ki tarah phuTa aur aap hi bah nikla
rakhta bhala main kab tak aankhon mein nihan pani
Anwar Sadeed
dam-e-visal teri aanch is tarah aai
ki jaise aag sulagne lage gulabon mein
Anwar Sadeed
dukh ke taq pe sham Dhale
kis ne diya jalaya tha
Anwar Sadeed
ghup-andhere mein bhi us ka jism tha chandi ka shahr
chand jab nikla to wo sona nazar aaya mujhe
Anwar Sadeed
hum ne har samt bichha rakkhi hain aankhen apni
jaane kis samt se aa jae sawari teri
Anwar Sadeed
jagti aankh se jo KHwab tha dekha 'anwar'
us ki tabir mujhe dil ke jalane se mili
Anwar Sadeed
jo phul jhaD gae the jo aansu bikhar gae
KHak-e-chaman se un ka pata puchhta raha
Anwar Sadeed