اردو हिंदी
Har samt samundar hai har samt rawan pani | Shaahi Shayari
har samt samundar hai har samt rawan pani

Ghazal

Har samt samundar hai har samt rawan pani

Anwar Sadeed

;

har samt samundar hai har samt rawan pani
chhagal hai meri KHali socho hai kahan pani

barish na agar karti dariya mein rawan pani
bazar mein bikne ko aa jata giran pani

KHud-rau hai agar chashma aaega meri jaanib
main bhi wahin baiTha hun marta hai jahan pani

kal sham parindon ko uDte hue yun dekha
be-ab samundar mein jaise ho rawan pani

jis khet se dahqan ko mil jati thi kuchh rozi
us khet pe dekha hai hakim hai rawan pani

chashme ki tarah phuTa aur aap hi bah nikla
rakhta bhala main kab tak aankhon mein nihan pani

bah jati hai sath us ke shahron ki ghalazat bhi
jarub-kash-e-alam lagta hai rawan pani

bas ek hi rele mein Dube the makan sare
'anwar' ka wahin ghar tha bahta tha jahan pani