aankh khulte hi bastiyan taraj
koi lazzat nahin hai KHwabon mein
Aashufta Changezi
'ashufta' ab us shaKHs se kya KHak nibahen
jo baat samajhta hi nahin dil ki zaban ki
Aashufta Changezi
ajib KHwab tha tabir kya hui us ki
ki ek dariya hawaon ke ruKH pe bahta tha
Aashufta Changezi
adan bhigenge barsaten rahengi
abhi kuchh din ye saughaten rahengi
Aashufta Changezi
ura mat man itna hausla achchha nahin lagta
ye uThte baiThte zikr-e-wafa achchha nahin lagta
Aashufta Changezi
dariyaon ki nazr hue
dhire dhire sab tairak
Aashufta Changezi
dil deta hai hir-phir ke usi dar pe sadaen
diwar bana hai abhi diwana nahin hai
Aashufta Changezi
ek manzar mein lipTe badan ke siwa
sard raaton mein kuchh aur dikhta nahin
Aashufta Changezi
ghar ke andar jaane ke
aur kai darwaze hain
Aashufta Changezi