sham ke baad sitaron ko sambhalne na diya
raat ko rok liya chand ko Dhalne na diya
mauj-e-baatin kabhi auqat se bahar na gai
had ke andar bhi kisi shai ko machalne na diya
aag to chaaron hi jaanib thi par achchha ye hai
hosh-mandi se kisi chiz ko jalne na diya
ab ke muKHtar ne muhtaj ki diwar ka qad
jitna mamul hai utna bhi nikalne na diya
jin buzurgon ki wirasat ke amin hain hum log
un ki qabron ne kabhi shahr badalne na diya
Ghazal
Sham ke baad sitaron ko sambhalne na diya
Ahmad Kamal Parwazi