اردو हिंदी
Safar naya tha na koi naya musafir tha | Shaahi Shayari
safar naya tha na koi naya musafir tha

Ghazal

Safar naya tha na koi naya musafir tha

Ahmad Mushtaq

;

safar naya tha na koi naya musafir tha
wahi talab thi wahi aashna musafir tha

dayar-e-dard ki pur-haul rahguzaron mein
tera KHayal koi dusra musafir tha

jo dekhta hun to diwar-e-aina ke udhar
meri hi shakl ka ek be-nawa musafir tha

nazar mili thi ghaDi bhar ko phir mila na kabhi
na jaane kaun tha kis des ka musafir tha