ruKHsat-e-shab ka saman pahle kabhi dekha na tha
itna raushan aasman pahle kabhi dekha na tha
dur tak phaila hua sahra nazar aaya mujhe
ek zarra bhi jahan pahle kabhi dekha na tha
didani tha mauj-e-dariya ka nashat be-panah
jalwa-e-ab-e-rawan pahle kabhi dekha na tha
ahl-e-duniya to hamesha hi se aise the magar
ishq itna na-tawan pahle kabhi dekha na tha
dil pareshan ho gaya rang-e-zawal-e-husn se
aag dekhi thi dhuan pahle kabhi dekha na tha
is qadar hairan na ho aankhon mein aansu dekh kar
tujh ko itna mehrban pahle kabhi dekha na tha
Ghazal
RuKHsat-e-shab ka saman pahle kabhi dekha na tha
Ahmad Mushtaq