اردو हिंदी
Raat phir rang pe thi uske badan ki KHushbu | Shaahi Shayari
raat phir rang pe thi uske badan ki KHushbu

Ghazal

Raat phir rang pe thi uske badan ki KHushbu

Ahmad Mushtaq

;

raat phir rang pe thi us ke badan ki KHushbu
dil ki dhaDkan thi ki uDte the lahu mein jugnu

jaise har shai ho kisi KHwab-e-faramosh mein gum
chand chamka na kisi yaad ne badla pahlu

subh ke zina-e-KHamosh pe qadmon ke gulab
sham ki band haweli mein hansi ka jadu

sehn ke sabz andhere mein damakte ruKHsar
saf bistar ke ujale mein chamakte gesu

jhilmilate rahe wo KHwab jo pure na hue
dard bedar Tapakta raha aansu aansu