pata ab tak nahin badla hamara
wahi ghar hai wahi qissa hamara
wahi TuTi hui kashti hai apni
wahi Thahra hua dariya hamara
ye maqtal bhi hai aur kunj-e-aman bhi
ye dil ye be-nishan kamra hamara
kisi jaanib nahin khulte dariche
kahin jata nahin rasta hamara
hum apni dhup mein baiThe hain 'mushtaq'
hamare sath hai saya hamara

Ghazal
Pata ab tak nahin badla hamara
Ahmad Mushtaq