is andhe qaid-KHane mein kahin rauzan nahin hota
bikhar jate tabiat mein agar bachpan nahin hota
tujhe kya ilm ke har choT pe tare nikalte hain
wo aadam hi nahin jis ka koi dushman nahin hota
unhen bhi hum ne sayyaron se wapas aate dekha hai
jahan bas ishq hota hai koi indhan nahin hota
hamari na-muradi mein wafadari bhi shamil hai
agar kuchh aur hote to ye pairahan nahin hota
bahut mamnun hun phir bhi andhere kam nahin hote
agar tum mere ghar hote to wo raushan nahin hota
Ghazal
Is andhe qaid-KHane mein kahin rauzan nahin hota
Ahmad Kamal Parwazi