bhagne ka koi rasta nahin rahne dete
koi dar koi daricha nahin rahne dete
aasman par se miTa dete hain taron ka suragh
ret par naqsh-e-kaf-e-pa nahin rahne dete
koi taswir mukammal nahin hone pati
dhup dete hain to saya nahin rahne dete
pahle bhar dete hain saman-e-do-alam dil mein
phir kisi shai ki tamanna nahin rahne dete
shahr-e-koran mein bhi aaina farosh aate hain
be-tajalli koi qarya nahin rahne dete
tur-e-sina ho ki aatish-kada-e-soz-e-nihan
rakh rah jati hai shoala nahin rahne dete
Ghazal
Bhagne ka koi rasta nahin rahne dete
Ahmad Mushtaq