'KHar' ulfat ki baat jaane do
zindagi kis ko sazgar aai
Khar Dehlavi
mujhe ye Dar hai dil-e-zinda tu na mar jae
ki zindagani ibarat hai tere jine se
Khwaja Meer u0027Dardu0027
sair kar duniya ki ghafil zindagani phir kahan
zindagi gar kuchh rahi to ye jawani phir kahan
Khwaja Meer u0027Dardu0027
zindagi hai ya koi tufan hai!
hum to is jine ke hathon mar chale
Khwaja Meer u0027Dardu0027
aaKHir ek roz to paiwand-e-zamin hona hai
jama-e-zist naya aur purana kaisa
Lala Madhav Ram Jauhar
ye kya kahun ki mujh ko kuchh gunah bhi aziz hain
ye kyun kahun ki zindagi sawab ke liye nahin
Mahboob Khizan
hum ko bhi KHush-numa nazar aai hai zindagi
jaise sarab dur se dariya dikhai de
Mahshar Badayuni