aDa ghaTe ka sauda hai 'sada' ye sans lena bhi
baDhe hai umr jyun-jyun zindagi kam hoti jati hai
Sada Ambalvi
ghazal us ne chheDi mujhe saz dena
zara umr-e-rafta ko aawaz dena
Safi Lakhnavi
ai adam ke musafiro hoshiyar
rah mein zindagi khaDi hogi
Saghar Siddiqui
maut kahte hain jis ko ai 'saghar'
zindagi ki koi kaDi hogi
Saghar Siddiqui
dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se
chehre tamam lagne lage hain ajib se
Sahir Ludhianvi
gar zindagi mein mil gae phir ittifaq se
puchhenge apna haal teri bebasi se hum
Sahir Ludhianvi
hum gham-zada hain laen kahan se KHushi ke git
denge wahi jo paenge is zindagi se hum
Sahir Ludhianvi