اردو हिंदी
Sozish-e-gham ba-ru-e-kar aai | Shaahi Shayari
sozish-e-gham ba-ru-e-kar aai

Ghazal

Sozish-e-gham ba-ru-e-kar aai

Khar Dehlavi

;

sozish-e-gham ba-ru-e-kar aai
aah bhi lab pe shoala-bar aai

chashm-e-giryan ki aabyari se
dil ke daghon pe phir bahaar aai

dast-e-wahshat ki kar-farmai
ta-ba-daman-e-tar-tar aai

tere diwane kya bhala jaanen
kab KHizan aai kab bahaar aai

kasmapursi ka uf-re ye aalam
yaad hum ko jafa-e-yar aai

dekho wo chhai udi udi ghaTa
mai-gusaron ki gham-gusar aai

su-e-gulshan jo aaj aa nikle
yar ki yaad bar bar aai

bhini bhini kisi badan ki mahak
bu-e-gesu-e-mushk-bar aai

ghuncha o gul ka dekh kar jauban
yaad-e-mahbub-e-gul-azar aai

hai jawani KHud apni mashshata
husn ko kis qadar nikhaar aai

'KHar' ulfat ki baat jaane do
zindagi kis ko sazgar aai