اردو हिंदी
Tez aandhi raat andhyari akela rah-rau | Shaahi Shayari
tez aandhi raat andhyari akela rah-rau

Ghazal

Tez aandhi raat andhyari akela rah-rau

Fuzail Jafri

;

tez aandhi raat andhyari akela rah-rau
baDh raha hai sochta Darta jhijakta rah-rau

manzilen samten badalti ja rahi hain roz o shab
is bhari duniya mein hai insan tanha rah-rau

kuchh to hai jo shahr mein phirta hai ghabraata hua
be-KHabar warna bhare jangal se guzra rah-rau

khiDkiyan khulne lagin darwaze wa hone lage
jab bhi guzra rah se koi sajila rah-rau

KHizr ki si umr warna kaise tanha kaTte
be-sahaara raston ka hain sahaara rah-rau

baKHsh hi de koi shayad gesuon ki narm chhanw
har nai basti mein ThoDi der Thahra rah-rau

koi manzil aaKHiri manzil nahin hoti 'fuzail'
zindagi bhi hai misal-e-mauj-e-dariya rah-rau