sari duniya hamein pahchanti hai
koi hum sa bhi na tanha hoga
Ahmad Nadeem Qasmi
dil daba jata hai kitna aaj gham ke bar se
kaisi tanhai Tapakti hai dar o diwar se
Akbar Hyderabadi
kuchh to tanhai ki raaton mein sahaara hota
tum na hote na sahi zikr tumhaara hota
Akhtar Shirani
hiD ke KHauf se phir ghar ki taraf lauT aaya
ghar se jab shahr mein tanhai ke Dar se nikla
Aleem Masroor
mera karb meri tanhai ki zinat
main chehron ke jangal ka sannaTa hun
Ambar Bahraichi
mere ghar mein to koi bhi nahin hai
KHuda jaane main kis se Dar raha hun
Ameer Qazalbash
man ki dua na bap ki shafqat ka saya hai
aaj apne sath apna janam din manaya hai
Anjum Saleemi