main hun dil hai tanhai hai
tum bhi hote achchha hota
my loneliness my heart and me
would be nice
Firaq Gorakhpuri
dasht-e-tanhai mein jine ka saliqa sikhiye
ye shikasta baam-o-dar bhi ham-safar ho jaenge
Fuzail Jafri
apne sae se chaunk jate hain
umr guzri hai is qadar tanha
Gulzar
zindagi yun hui basar tanha
qafila sath aur safar tanha
Gulzar
shahr ki bhiD mein shamil hai akela-pan bhi
aaj har zehn hai tanhai ka mara dekho
Hasan Najmi Sikandarpuri
ye kaisa qafila hai jis mein sare log tanha hain
ye kis barzaKH mein hain hum sab tumhein bhi sochna hoga
Himayat Ali Shayar
dar-o-diwar itne ajnabi kyun lag rahe hain
KHud apne ghar mein aaKHir itna Dar kyun lag raha hai
Iftikhar Arif