اردو हिंदी
Dil daba jata hai kitna aaj gham ke bar se | Shaahi Shayari
dil daba jata hai kitna aaj gham ke bar se

Ghazal

Dil daba jata hai kitna aaj gham ke bar se

Akbar Hyderabadi

;

dil daba jata hai kitna aaj gham ke bar se
kaisi tanhai Tapakti hai dar o diwar se

manzil-e-iqrar apni aaKHiri manzil hai ab
hum ki aae hain guzar kar jada-e-inkar se

tarjuman tha aks apne chehra-e-gum-gashta ka
ek sada aati rahi aaina-e-asrar se

mand paDte ja rahe the KHwab-taswiron ke rang
raat utarti ja rahi thi dard ki diwar se

main bhi 'akbar' karb-agin jaanta hun zist ko
munsalik hai fikr meri fikr-e-schopenhauer se