اردو हिंदी
Qismat Shayari | Shaahi Shayari

Qismat

40 Shers

aisi qismat kahan ki jam aata
bu-e-mai bhi idhar nahin aai

That I would get a goblet it was'nt my fate
now even the whiff of wine does'nt permeate

Muztar Khairabadi




qismat to dekh TuTi hai ja kar kahan kamand
kuchh dur apne hath se jab baam rah gaya

Qayem Chandpuri




TuT paDti thin ghaTaen jin ki aankhen dekh kar
wo bhari barsat mein tarse hain pani ke liye

Sajjad Baqar Rizvi




main jaan-ba-lab hun ai taqdir tere hathon se
ki tere aage meri kuchh na chal saki tadbi

Shaikh Zahuruddin Hatim




ad-qismati ko ye bhi gawara na ho saka
hum jis pe mar miTe wo hamara na ho saka

Shakeb Jalali